Monday, June 28, 2010

Aankho ki neend..

Aaj aankho se neend udi hai, sochti hu...jaane kaunsi kami hai..karvat badal-badal aadhi raat beet gayi, ab-bhi samajh nahi paayi, ki aakhir baat kyaa hai....Ek ajeeb si utsukta mann mein chhayi hai, Pal- pal na jaane kyu waqt ki or nazre tik jaati hai, maano kisi pal ka intezaar hai mujhe...na jaane aaj ki raat kyu hai itni alag....

Tu....

Tujhe dekh nigaahe thakti nahi, tere deedar karte palak jhapakte nahi, tujhe mein aisi kya kashish hai..mann bharta hi nahi, teri aankhen kitna kuch keh jaati hai, aisa lagta hai hamesha tujhe dekhti rahu...bina ek pal khoye, tere har ek adaa ko apni aankho mein kaid karlu, teri hasi, tera ehsaas, teri khushboo, tere aane ki aahat..sab apne dil ki dhadkan mein basu lu...bas tujh mein kho jauu..jannat mein shaamil ho jau..!

Duniya ki reet...

Chalte chalte tham jaate hai, kehte kehte ruk jaate hai, sochte sochte kho jaate hai,
Yahi sochkar ki kahi jis manzil ki taraf kadam badhaaye hai, kya kabhi wo manzil hame naseeb hogi..kya wo khwaab rang layenge, kya wo khayalo ko din ka ujaala naseeb hoga, kya har baar kuchh paane ke liye hume apne dil se, halaato se hazaaro minnate karni padengi? Jo lagta hai mushkil, wo aasani se haasil ho jaata hai aur jo aasan ho, uske liye hazaar duaa bhi kam padte hai..kya yahi duniya ki reet hai??

Tu Kaha...

Aati jaati leheron mein dhundhu tera pataa, kaha kab kya jaane mil jaaye tera nishaan;
Tere ehsaas ko mehsoos kiye din beet gaye, jaise aasman se taare ruth gaye;
Shayad ye din sadiyo mein badal jaaye, fir bhi aate jaate leheron mein dhudhenge tera pataa..
kaha kab kya jaane mil jaaye tu aur tera nishaan...!